Sunday, October 14, 2012

ghazal

anhoni honi ho jaye aisa bhi ho sakta hai
doulat tere kaam n aaye aisa bhi ho sakta hai
yun to kashti dooba karti hai aksar toofano mein 
toofaa.n kashti paar lagaye aisa bhi ho sakta hai
jis ko dar dar dhundha karte mandir masjid gurudware
khaana e dil mein mil jaaye aisa bhi ho sakta hai 
ho sakta hai meri ghazlei.n tujh ko deewana kar dein
tera dil mujh par aa jaye aisa bhi ho sakta hai

No comments:

Post a Comment