Sunday, November 13, 2011

ghazal


jine ka har samaan hai  koi kami nahi.n
jane kyun phir bhi zindagi mei.n ik khushi nahi.n

is zindagi ke waste kya kya nahi.n kiya
badhti hawas iski magar ghat ti kabhi nahi.n

is zindagi ke mayne aye nahi.n samajh
jab tak mere jehan mei.n hui roshni nahi.n

har sher mei.n dhaala hai ik ik tazribat ko
hai zindagi ka falsafa ye shayari nahi.n

sach baat tujh se kahta hu.n mat maan na bura
e zindagi tu to kisi bhi kaam ki nahi.n

No comments:

Post a Comment